3D Workspace
Home
Assets
Affiliate Program
Creator Program
Sign up/Log in
?
Upgrade
DCC Bridge
Anonymous1780562148
06-04 08:46
Model Name
3d मॉडल खोजी बालक
Tags
character
game asset
stylized
Prompt
Ek chhote se gaon mein ek gareeb mazdoor baap roz subah andheray mein hi kaam par nikal jata tha. Uske haath mein mehnat ki lakeerein thi, lekin aankhon mein apne beta ke sapno ki chamak thi. Uska beta roz school jata tha… kitaaben kholta tha, aur dil hi dil mein sochta tha ke woh bada ho kar doctor banega, taake apne baap ki zindagi badal sake. Lekin ghar ki haalat din ba din kharab hoti gayi… baap ki thakan aur majboori dekh kar beta andar se tootne laga. Uske sapne ab sirf khwabon tak simatne lage. Phir ek din, beta ne chup chaap faisla kiya… woh school ke baad apne baap ke saath kaam karne laga. Patthar uthata, mazdoori karta, aur raat ko thak kar so jata. Baap ne jab yeh dekha, to uski aankhon mein aansu aa gaye… aur usne apne bete se kaha: “Tu padh… main sab sambhal lunga.” Baap ne apni saari taqat laga di… aur beta ne himmat wapas pakar li. Saalon baad wahi beta apne sapnon ki manzil tak pohanch gaya… ek kamyab doctor ban kar apne baap ka naam roshan kar diya.”
Detailed Info
Related Models
Enter invite code
Enter invite code to get credits!