
3d ماڈل دو بہنیں
Umama aur Lubaba do behnein thin۔ Dono bachpan se ek hi ghar، ek hi kamra aur ek hi maa baap ki parwarish mein pali thin، lekin unke dil aksar ek dusre se takra jate the۔ Choti choti baat par zaban tez ho jati، aur baat larai tak pohanch jati۔ Kabhi Umama kehti: “Tum hamesha meri baat kaat deti ho!” Aur Lubaba gusse mein jawab deti: “Aur tum khud ko hamesha sahi samajhti ho!” Yeh larai roz ka mamool ban chuki thi۔ Amma chup chap aansu baha leti aur dua karti: “Ya Allah, meri betiyon ke dil jor de۔” Ek raat larai kuch zyada hi barh gayi۔ Ghar ka sakoon toot gaya۔ Tab unka bara bhai Usama beech mein aaya۔ Us ne dono ko bithaya، aur bohot narami se bola: “Tum dono jaanti ho، shaitan sab se zyada khush tab hota hai jab ghar ke log aapas mein larain۔ Aur Allah un logon se mohabbat karta hai jo sabr aur maafi ka rasta ikhtiyar karte hain۔” Usama ne Qur’an ki yeh baat yaad dilai: ‘Aur jo gussa pee jate hain aur logon ko maaf kar dete hain، Allah un se mohabbat karta hai۔’ Yeh sunkar Umama ka sar jhuk gaya۔ Lubaba ki
2K·PBR·v3.0-20250812









